hosh apna hai na uski kuchh KHabar mushkil mein hun
hosh apna hai na uski kuchh KHabar mushkil mein hun
Niyazat Ali Niyaz
MORE BYNiyazat Ali Niyaz
hosh apnā hai na us kī kuchh ḳhabar mushkil meñ huuñ
kyā kahūñ ai nāma-bar maiñ kis qadar mushkil meñ huuñ
ghar se bāhar bhī ta.āqub meñ ajab ik ḳhauf hai
dauḌte haiñ kāTne ko bām-o-dar mushkil meñ huuñ
ye akelā-pan jo merā hamdam-o-dam-sāz thā
vo bhī saath apne uThā laayā hai Dar mushkil meñ huuñ
ho ga.e bāzār vīrāñ baaġh ḳhālī ho ga.e
bujh gayā sab shauq kā sho.ala sharar mushkil meñ huuñ
saḳht mushkil meñ paḌe haiñ kaise kaise bā-kamāl
kab 'niyāzat' maiñ akelā be-hunar mushkil meñ huuñ
hosh apna hai na us ki kuchh KHabar mushkil mein hun
kya kahun ai nama-bar main kis qadar mushkil mein hun
ghar se bahar bhi taaqub mein ajab ek KHauf hai
dauDte hain kaTne ko baam-o-dar mushkil mein hun
ye akela-pan jo mera hamdam-o-dam-saz tha
wo bhi sath apne uTha laya hai Dar mushkil mein hun
ho gae bazar viran bagh KHali ho gae
bujh gaya sab shauq ka shoala sharar mushkil mein hun
saKHt mushkil mein paDe hain kaise kaise ba-kamal
kab 'niyazat' main akela be-hunar mushkil mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.