hosh ka andaza be-hoshi mein hai
hosh kā andāza be-hoshī meñ hai
yaad kā aalam farāmoshī meñ hai
mai-kada masjid subū zarf-e-vazū
zohd kā sāmān mai-noshī meñ hai
justujū qātil kī lā-hāsil nahīñ
tan mirā fikr-e-subukdoshī meñ hai
hai vo maah ai 'mehr' mahfil meñ ki badr
kis ko itnā hosh mai-noshī meñ hai
hosh ka andaza be-hoshi mein hai
yaad ka aalam faramoshi mein hai
mai-kada masjid subu zarf-e-wazu
zohd ka saman mai-noshi mein hai
justuju qatil ki la-hasil nahin
tan mera fikr-e-subukdoshi mein hai
hai wo mah ai 'mehr' mahfil mein ki badr
kis ko itna hosh mai-noshi mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.