hosh mein aa ki be-KHabar daur-e-junun guzar gaya
hosh mein aa ki be-KHabar daur-e-junun guzar gaya
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
hosh meñ aa ki be-ḳhabar daur-e-junūñ guzar gayā
vo na ab us kī rahguzar daur-e-junūñ guzar gayā
khīñchte the shabāb meñ ashhab-e-vaqt kī zamām
shauq javān hai magar daur-e-junūñ guzar gayā
shāna-e-fikr laayā huuñ chhīn ke hādsāt se
gesū-e-zindagī sañvar daur-e-junūñ guzar gayā
chāhne vaale sab tire naf-o-zarar ke ho ga.e
kyoñ na uThī tirī nazar daur-e-junūñ guzar gayā
mauj-e-balā guzar ga.ī kuchh to sukūñ kā saañs leñ
phir se banā.eñ apnā ghar daur-e-junūñ guzar gayā
sahl ho yā kaThin ho raah aao ab is pe chal paḌeñ
haat meñ haat ham-safar daur-e-junūñ guzar gayā
aql kī chāñdnī se ab duur talak hai raushnī
DhūñD ke lā na.ī sahar daur-e-junūñ guzar gayā
hosh mein aa ki be-KHabar daur-e-junun guzar gaya
wo na ab us ki rahguzar daur-e-junun guzar gaya
khinchte the shabab mein ashhab-e-waqt ki zamam
shauq jawan hai magar daur-e-junun guzar gaya
shana-e-fikr laya hun chhin ke hadsat se
gesu-e-zindagi sanwar daur-e-junun guzar gaya
chahne wale sab tere naf-o-zarar ke ho gae
kyon na uThi teri nazar daur-e-junun guzar gaya
mauj-e-bala guzar gai kuchh to sukun ka sans len
phir se banaen apna ghar daur-e-junun guzar gaya
sahl ho ya kaThin ho rah aao ab is pe chal paDen
hat mein hat ham-safar daur-e-junun guzar gaya
aql ki chandni se ab dur talak hai raushni
DhunD ke la nai sahar daur-e-junun guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.