hosh mein aa zindagi tu ne ghalat samjha mujhe
hosh meñ aa zindagī tū ne ġhalat samjhā mujhe
de nahīñ saktī kisī manzil pe bhī dhokā mujhe
mere afsāne ko phir unvān meñ uljhā diyā
aap ne apnī taraf kyoñ dekh kar dekhā mujhe
aur to har tarah takmīl-e-parastish ho chukī
sirf apne sāmne karnā hai ik sajda mujhe
zindagī kī uljhaneñ ab bhī sulajh jaa.eñ tamām
ik zarā merā nafas gar chhoḌ de tanhā mujhe
yaad aa jaatī hai apne vaqt kī be-iḳhtiyār
jab nazar aatā hai koī vaqt kā maarā mujhe
Duub mar ai zindagī ye kyā tire hote hue
maut aa.ī hai batāne ke liye rastā mujhe
umr-e-rafta hai ye nā-mumkin tujhe āvāz duuñ
aaj tak tū ne palaT kar bhī kabhī dekhā mujhe
vaqt ke hamrāh maiñ duniyā se aage baḌh gayā
ai 'shifā' āvāz detī rah ga.ī duniyā mujhe
hosh mein aa zindagi tu ne ghalat samjha mujhe
de nahin sakti kisi manzil pe bhi dhoka mujhe
mere afsane ko phir unwan mein uljha diya
aap ne apni taraf kyon dekh kar dekha mujhe
aur to har tarah takmil-e-parastish ho chuki
sirf apne samne karna hai ek sajda mujhe
zindagi ki uljhanen ab bhi sulajh jaen tamam
ek zara mera nafas gar chhoD de tanha mujhe
yaad aa jati hai apne waqt ki be-iKHtiyar
jab nazar aata hai koi waqt ka mara mujhe
Dub mar ai zindagi ye kya tere hote hue
maut aai hai batane ke liye rasta mujhe
umr-e-rafta hai ye na-mumkin tujhe aawaz dun
aaj tak tu ne palaT kar bhi kabhi dekha mujhe
waqt ke hamrah main duniya se aage baDh gaya
ai 'shifa' aawaz deti rah gai duniya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.