hosh-o-hawas aql-o-KHirad fan sameT kar
hosh-o-havās aql-o-ḳhirad fan sameT kar
le jaao tum hamārī ye uljhan sameT kar
maiñ ne jahāñ rakhā thā sabhī dhan sameT kar
baiThā huā hai naag vahāñ phan sameT kar
jī bhar ke royā shīsha-e-dil saaf ho gayā
gard-o-ġhubār le gayā sāvan sameT kar
ujḌī huī hai kuTiyā mirī haa.e haa.e haa.e
raunaq tamām le ga.ī jogan sameT kar
barsāt aa.ī aa ke ai 'maz.har-mujāhidī’
dīvār-o-dar kā le ga.ī roġhan sameT kar
hosh-o-hawas aql-o-KHirad fan sameT kar
le jao tum hamari ye uljhan sameT kar
main ne jahan rakha tha sabhi dhan sameT kar
baiTha hua hai nag wahan phan sameT kar
ji bhar ke roya shisha-e-dil saf ho gaya
gard-o-ghubar le gaya sawan sameT kar
ujDi hui hai kuTiya meri hae hae hae
raunaq tamam le gai jogan sameT kar
barsat aai aa ke ai 'mazhar-mujahidi’
diwar-o-dar ka le gai roghan sameT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.