hosh-o-hawas-o-aql se begana nahin hun
hosh-o-havās-o-aql se begāna nahīñ huuñ
be-shak junūñ meñ ġharq huuñ dīvāna nahīñ huuñ
vahshat se mirī ḳhauf na khā aa qarīb aa
mujh par tirā ḳhumār hai mastāna nahīñ huuñ
mujh meñ na tum talāsh karo mai-kashoñ sukūñ
maiñ rind-e-balā-nosh huuñ mai-ḳhāna nahīñ huuñ
nādāñ samajh ke mujh pe ināyat hai is qadar
achchhā hai nigah-e-yār meñ farzāna nahīñ huuñ
chup huuñ kī aap aaj bhī mujh ko aziiz haiñ
sāzish se varna aap kī an-jānā nahīñ huuñ
'tashna' huuñ mujh se rakh na tavaqqo tū faiz kī
shīsha to duur sāġhar-o-paimāna nahīñ huuñ
hosh-o-hawas-o-aql se begana nahin hun
be-shak junun mein gharq hun diwana nahin hun
wahshat se meri KHauf na kha aa qarib aa
mujh par tera KHumar hai mastana nahin hun
mujh mein na tum talash karo mai-kashon sukun
main rind-e-bala-nosh hun mai-KHana nahin hun
nadan samajh ke mujh pe inayat hai is qadar
achchha hai nigah-e-yar mein farzana nahin hun
chup hun ki aap aaj bhi mujh ko aziz hain
sazish se warna aap ki an-jaana nahin hun
'tashna' hun mujh se rakh na tawaqqo tu faiz ki
shisha to dur saghar-o-paimana nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.