hosh-o-himmat-azma shan-e-tajammul kyon nahin
hosh-o-himmat-azma shan-e-tajammul kyon nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
hosh-o-himmat-āzmā shān-e-tajammul kyoñ nahīñ
vo kisī kā āshnāyāna taġhāful kyoñ nahīñ
zabt kī talqīn iz.hār-e-tamannā ke liye
hosh khone ke liye shart-e-tahammul kyoñ nahīñ
andalīb-e-ḳhud-nigar kyoñ rāt-din āh-o-bukā
ehtirām-e-jazba-e-ḳhuddārī-e-gul kyoñ nahīñ
shaad ho mahbūb to nāshād koī kis liye
ḳhanda-e-gul bā.is-e-taskīn-e-bulbul kyoñ nahīñ
DhūñDhtī hai aañkh phir vo sa.ī-e-begāna-vashī
dāvat-e-armāñ ba-andāz-e-taġhāful kyoñ nahīñ
sharm kā le kar sahārā vo nazar uTThī to kyā
ye sharār-e-barq āzād-e-tavassul kyoñ nahīñ
jo nigāheñ sarf-e-tārāj-e-shu.ūr-o-hosh thiiñ
aaj vo ġhārat-gar-e-sabr-o-tahammul kyoñ nahīñ
jaam ḳhālī ho to rangīnī ko us kī kyā kareñ
bāda-e-gulfām se pur sāġhar-e-gul kyoñ nahīñ
vo sukūñ vo āshtī vo sarḳhushī paa.eñ kahāñ
zindagī tasvīr-e-firdaus-e-taḳhayyul kyoñ nahīñ
hosh-o-himmat-azma shan-e-tajammul kyon nahin
wo kisi ka aashnayana taghaful kyon nahin
zabt ki talqin izhaar-e-tamanna ke liye
hosh khone ke liye shart-e-tahammul kyon nahin
andalib-e-KHud-nigar kyon raat-din aah-o-buka
ehtiram-e-jazba-e-KHuddari-e-gul kyon nahin
shad ho mahbub to nashad koi kis liye
KHanda-e-gul bais-e-taskin-e-bulbul kyon nahin
DhunDhti hai aankh phir wo sai-e-begana-washi
dawat-e-arman ba-andaz-e-taghaful kyon nahin
sharm ka le kar sahaara wo nazar uTThi to kya
ye sharar-e-barq aazad-e-tawassul kyon nahin
jo nigahen sarf-e-taraj-e-shuur-o-hosh thin
aaj wo ghaarat-gar-e-sabr-o-tahammul kyon nahin
jam KHali ho to rangini ko us ki kya karen
baada-e-gulfam se pur saghar-e-gul kyon nahin
wo sukun wo aashti wo sarKHushi paen kahan
zindagi taswir-e-firdaus-e-taKHayyul kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.