hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin
hosh-o-ḳhirad kā rāh-e-junūñ meñ guzar nahīñ
yaañ bā-ḳhabar vo hai jise apnī ḳhabar nahīñ
kuchh izhdihām jalva se aatā nazar nahīñ
vo paas haiñ ki duur ye tujh ko ḳhabar nahīñ
josh-e-junūn-e-ishq kī takmīl ke liye
kyā kam hai ye ki aah meñ merī asar nahīñ
idrāk kar liyā hai vahāñ ishq ne tujhe
ehsās-e-vahm kā bhī jahāñ par guzar nahīñ
shabnam kā jazb chāhiye ḳhurshīd kā karam
parvāz-e-ishq munhasir-e-bāl-o-par nahīñ
duniyā-e-ishq meñ dil-e-nā-āshnā-e-ġham
aisī bhī ek shaam hai jis kī sahar nahīñ
rag rag dil-e-fasurda kī muddat se sard hai
ab ḳhāk-dān-e-ishq meñ koī sharar nahīñ
'vahshī' qadam qadam pe yahāñ sajda-rez ho
kū-e-harīm-e-yār hai ye rahguzar nahīñ
hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin
yan ba-KHabar wo hai jise apni KHabar nahin
kuchh izhdiham jalwa se aata nazar nahin
wo pas hain ki dur ye tujh ko KHabar nahin
josh-e-junun-e-ishq ki takmil ke liye
kya kam hai ye ki aah mein meri asar nahin
idrak kar liya hai wahan ishq ne tujhe
ehsas-e-wahm ka bhi jahan par guzar nahin
shabnam ka jazb chahiye KHurshid ka karam
parwaz-e-ishq munhasir-e-baal-o-par nahin
duniya-e-ishq mein dil-e-na-ashna-e-gham
aisi bhi ek sham hai jis ki sahar nahin
rag rag dil-e-fasurda ki muddat se sard hai
ab KHak-dan-e-ishq mein koi sharar nahin
'wahshi' qadam qadam pe yahan sajda-rez ho
ku-e-harim-e-yar hai ye rahguzar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.