hosh-o-KHirad mein aag laga di KHirman-e-kaif-o-kam ko jalaya
hosh-o-KHirad mein aag laga di KHirman-e-kaif-o-kam ko jalaya
Ijtiba Rizvi
MORE BYIjtiba Rizvi
hosh-o-ḳhirad meñ aag lagā dī ḳhirman-e-kaif-o-kam ko jalāyā
sho.ala bane aur siine se lipTe aap jale aur ham ko jalāyā
jis ko kaheñ ghar-phūñk tamāshā bas vo tamāshā aap ne dekhā
aap kī bijlī ḳhush hai ki us ne musht-e-ḳhas-e-ādam ko jalāyā
ġhair ko jhiḌkī ham pe ināyat ho ga.ī āḳhir jaan ko aafat
bazm-e-azal meñ tum ne bulā kar kis liye nā-mahram ko jalāyā
zindagī apnī yās-o-tamanna aag pe aag aur sho.ale pe sho.ala
dil ko hamāre ġham se jalā kar sho.ala-e-ruḳh se ġham ko jalāyā
kaisī jalan thī kaisī jalan hai jal chuke phir bhī jal nahīñ chukte
kaash koī yuuñ tum ko jalā de jaise ki tum ne ham ko jalāyā
aag hai bijlī aag haiñ zarre aag hai sūraj aag haiñ taare
ham ne na kī thī shoḳh-nigāhī aap ne kyoñ aalam ko jalāyā
hosh-o-KHirad mein aag laga di KHirman-e-kaif-o-kam ko jalaya
shoala bane aur sine se lipTe aap jale aur hum ko jalaya
jis ko kahen ghar-phunk tamasha bas wo tamasha aap ne dekha
aap ki bijli KHush hai ki us ne musht-e-KHas-e-adam ko jalaya
ghair ko jhiDki hum pe inayat ho gai aaKHir jaan ko aafat
bazm-e-azal mein tum ne bula kar kis liye na-mahram ko jalaya
zindagi apni yas-o-tamanna aag pe aag aur shoale pe shoala
dil ko hamare gham se jala kar shoala-e-ruKH se gham ko jalaya
kaisi jalan thi kaisi jalan hai jal chuke phir bhi jal nahin chukte
kash koi yun tum ko jala de jaise ki tum ne hum ko jalaya
aag hai bijli aag hain zarre aag hai suraj aag hain tare
hum ne na ki thi shoKH-nigahi aap ne kyon aalam ko jalaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.