hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
hosh-o-shakeb-o-tāb-o-sabr-o-qarār pān.cho
qurbān kar chukā huuñ maiñ tujh pe yaar pān.cho
ik dard-e-hijr se bas ye pāñch ārize haiñ
be-hoshī be-qarārī ġhash tap buḳhār pān.cho
mutrib pisar ke ġham meñ bhāte haiñ kis ke dil ko
gorī aiman alabbā des aur malār pān.cho
īmān-o-dīn-o-māl-o-dil aur naqd-e-jāñ bhī
maiñ kar chukā huuñ pyāre tujh par nisār pān.cho
gar tū qasam bhī khaa.e jhūTe haiñ mere pyāre
paimān-o-ahd-o-va.ada qaul-o-qarār pān.cho
karte haiñ qatl-e-ālam zālim ye uzv tere
mizhgān-o-chashm-o-abrū zulf-o-'ezār pān.cho
kohsār-o-dasht-o-dariyā gulzār-o-bazm-e-ishrat
haiñ ḳhaar saañ nazar meñ be-rū-e-yār pān.cho
is tarah meñ ġhazal kā likhnā hai ġhair-mumkin
ai 'sehr' koī bāñdhe go ab hazār pān.cho
hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
qurban kar chuka hun main tujh pe yar pancho
ek dard-e-hijr se bas ye panch aarize hain
be-hoshi be-qarari ghash tap buKHar pancho
mutrib pisar ke gham mein bhate hain kis ke dil ko
gori aiman alabba des aur malar pancho
iman-o-din-o-mal-o-dil aur naqd-e-jaan bhi
main kar chuka hun pyare tujh par nisar pancho
gar tu qasam bhi khae jhuTe hain mere pyare
paiman-o-ahd-o-wada qaul-o-qarar pancho
karte hain qatl-e-alam zalim ye uzw tere
mizhgan-o-chashm-o-abru zulf-o-'ezar pancho
kohsar-o-dasht-o-dariya gulzar-o-bazm-e-ishrat
hain KHar san nazar mein be-ru-e-yar pancho
is tarah mein ghazal ka likhna hai ghair-mumkin
ai 'sehr' koi bandhe go ab hazar pancho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.