hosh tha ya koi KHumar raha
hosh thā yā koī ḳhumār rahā
dil ki betāb-o-be-qarār rahā
un ke pahlū meñ jā chhupā āḳhir
dil pe ham ko na iḳhtiyār rahā
laakh chāhā ki munjamid hotā
haif dil mahv-e-intishār rahā
dil ko dhaḌkā thā is rifāqat meñ
zahe qismat ki yaar yaar rahā
un ke pahlū meñ jī pareshāñ hai
ye qalaq ham ko baar baar rahā
chand lamhoñ kā vasl thā aur phir
der tak un kā intizār rahā
hijr meñ ik sukūñ to hai 'sā.in'
vasl meñ kab kise qarār rahā
hosh tha ya koi KHumar raha
dil ki betab-o-be-qarar raha
un ke pahlu mein ja chhupa aaKHir
dil pe hum ko na iKHtiyar raha
lakh chaha ki munjamid hota
haif dil mahw-e-intishaar raha
dil ko dhaDka tha is rifaqat mein
zahe qismat ki yar yar raha
un ke pahlu mein ji pareshan hai
ye qalaq hum ko bar bar raha
chand lamhon ka wasl tha aur phir
der tak un ka intizar raha
hijr mein ek sukun to hai 'sain'
wasl mein kab kise qarar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.