hosh us ka hai be-KHudi uski
hosh us kā hai be-ḳhudī us kī
zindagī kī har ik ghaḌī us kī
duur tak malgajā sā sannāTā
aur aahaT kabhī kabhī us kī
ishq merā hai sūfiyoñ jaisā
sirf matlūb hai ḳhushī us kī
dil ko hoñToñ se duur rakhtā hai
maar Dālegī ḳhāmushī us kī
tīrgī chhā rahī hai har jānib
bevafā.ī hai shaam sī us kī
dekh kar ḳhush-gumāñ huā hai dil
garm-joshī kamāl kī us kī
ham-safar jis kā ḳhūb-sīrat ho
ḳhūb-sūrat hai zindagī us kī
ḳhvāb meñ dil-navāziyāñ 'jāved'
aur haqīqat hai be-ruḳhī us kī
hosh us ka hai be-KHudi us ki
zindagi ki har ek ghaDi us ki
dur tak malgaja sa sannaTa
aur aahaT kabhi kabhi us ki
ishq mera hai sufiyon jaisa
sirf matlub hai KHushi us ki
dil ko honTon se dur rakhta hai
mar Dalegi KHamushi us ki
tirgi chha rahi hai har jaanib
bewafai hai sham si us ki
dekh kar KHush-guman hua hai dil
garm-joshi kamal ki us ki
ham-safar jis ka KHub-sirat ho
KHub-surat hai zindagi us ki
KHwab mein dil-nawaziyan 'jawed'
aur haqiqat hai be-ruKHi us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.