hota hai din-raat yahan ab jhagDa bhai bhai mein
hotā hai din-rāt yahāñ ab jhagḌā bhaa.ī bhaa.ī meñ
roz hī uThtī haiñ dīvāreñ har ghar kī añgnā.ī meñ
shā.ir vo jo fikr kī gahrā.ī se gauhar le aa.e
is koshish meñ jaane kitne log gire is khaa.ī meñ
fuTpāthoñ par rahne vaale thar-thar kāñpte rahte haiñ
daulat vaale sote haiñ jab kambal aur razā.ī meñ
ab to ḳhud hī kamāo 'ahsan' jiinā hai jab duniyā meñ
Dhotā hai kab bojh kisī kā koī is mahñgā.ī meñ
hota hai din-raat yahan ab jhagDa bhai bhai mein
roz hi uThti hain diwaren har ghar ki angnai mein
shair wo jo fikr ki gahrai se gauhar le aae
is koshish mein jaane kitne log gire is khai mein
fuTpathon par rahne wale thar-thar kanpte rahte hain
daulat wale sote hain jab kambal aur razai mein
ab to KHud hi kamao 'ahsan' jina hai jab duniya mein
Dhota hai kab bojh kisi ka koi is mahngai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.