hota hai is jahan mein kise nagawar jhuT
hotā hai is jahāñ meñ kise nāgavār jhuuT
jab sach huā zalīl to ālī-vaqār jhuuT
tahzīb-e-nau kā 'shā.era' hai shāhkār jhuuT
be-iḳhtiyār sach huā bā-iḳhtiyār jhuuT
kitnā hasīñ fareb hai parvardigār jhuuT
jān-e-qarār jhuuT hai jān-e-bahār jhuuT
ye sub.h-o-shām jhuuT ye lail-o-nahār jhuuT
saarī hī zindagī kā hai ab kārobār jhuuT
bantī nahīñ hai baat bhī sach baat ke liye
jab tak na bolā jaa.e yahāñ baar baar jhuuT
yuuñ sach bhī de rahā hai yahāñ jhuuT ko ḳhirāj
sach baat ke liye bhī karo iḳhtiyār jhuuT
apnī vafā ke laakh diye tū ne go fareb
terī nazar se ho hī gayā āshkār jhuuT
ab manzil-e-vafā kā bharosā nahīñ rahā
ai ishq ban ga.ī hai tirī rahguzār jhuuT
sach hī kā bol-bālā rahā 'shā.era' sadā
sach pā.edār hī rahā nā-pā.edār jhuuT
hota hai is jahan mein kise nagawar jhuT
jab sach hua zalil to aali-waqar jhuT
tahzib-e-nau ka 'shaera' hai shahkar jhuT
be-iKHtiyar sach hua ba-iKHtiyar jhuT
kitna hasin fareb hai parwardigar jhuT
jaan-e-qarar jhuT hai jaan-e-bahaar jhuT
ye subh-o-sham jhuT ye lail-o-nahaar jhuT
sari hi zindagi ka hai ab karobar jhuT
banti nahin hai baat bhi sach baat ke liye
jab tak na bola jae yahan bar bar jhuT
yun sach bhi de raha hai yahan jhuT ko KHiraj
sach baat ke liye bhi karo iKHtiyar jhuT
apni wafa ke lakh diye tu ne go fareb
teri nazar se ho hi gaya aashkar jhuT
ab manzil-e-wafa ka bharosa nahin raha
ai ishq ban gai hai teri rahguzar jhuT
sach hi ka bol-baala raha 'shaera' sada
sach paedar hi raha na-paedar jhuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.