hota hai tujhe dekh ke KHush arbada-ju bhi
hotā hai tujhe dekh ke ḳhush arbada-jū bhī
ai dost mohabbat kī harī shāḳh hai tū bhī
har roz yahāñ qatl kī sunte haiñ kahānī
arzāñ hai mire shahr meñ insāñ kā lahū bhī
mumkin hai adāvat meñ kamī aa ga.ī us kī
ab pūchhne baiThā hai mirā haal adū bhī
ai māh-jabīñ māh-laqā 'josh' ke lab se
duniyā ne sunā sun le mire haal ko tū bhī
hota hai tujhe dekh ke KHush arbada-ju bhi
ai dost mohabbat ki hari shaKH hai tu bhi
har roz yahan qatl ki sunte hain kahani
arzan hai mere shahr mein insan ka lahu bhi
mumkin hai adawat mein kami aa gai us ki
ab puchhne baiTha hai mera haal adu bhi
ai mah-jabin mah-laqa 'josh' ke lab se
duniya ne suna sun le mere haal ko tu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.