hota har qaid se aazad to achchha hota
hotā har qaid se āzād to achchhā hotā
kaash maiñ peḌ se TuuTā huā pattā hotā
vo hai bas ek sarāb us kā ta.āqub na karo
abr hotā to kahīñ TuuT ke barsā hotā
chāñd ban kar hai tū muhtāj-e-ziyā-e-ḳhurshīd
sham.a bantā to kisī ghar kā ujālā hotā
chhīn liiñ mujh se ujāloñ ne tirī yādeñ bhī
is se behtar thā ki duniyā meñ añdherā hotā
na sahī mere liye sa.i-e-mudāvā na sahī
kam se kam tum ne mirā haal to pūchhā hotā
hota har qaid se aazad to achchha hota
kash main peD se TuTa hua patta hota
wo hai bas ek sarab us ka taaqub na karo
abr hota to kahin TuT ke barsa hota
chand ban kar hai tu muhtaj-e-ziya-e-KHurshid
shama banta to kisi ghar ka ujala hota
chhin lin mujh se ujalon ne teri yaaden bhi
is se behtar tha ki duniya mein andhera hota
na sahi mere liye sai-e-mudawa na sahi
kam se kam tum ne mera haal to puchha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.