hota nahin yaqin mujhe chhoD jaega
hotā nahīñ yaqīn mujhe chhoḌ jā.egā
vo merā pyaar merī vafā āzmā.egā
ai sang-e-surḳh toḌ na nafrat kī zarb se
nāzuk hai merā shīsha-e-dil TuuT jā.egā
zar bhī zamīñ bhī nūr-e-mohammad bhī hai tirā
ik saath chal ke dekh zamāne pe chhā.egā
bhauñroñ ko itnī dāvat-e-hirs-o-havas na de
tujh se tirā gulāb-badan chhūT jā.egā
ye daur vo nahīñ hai ki muḳhlis raheñge dost
ik din koī uThegā tujhe kaaT khā.egā
mujrim ke zulm-o-jaur se hargiz na ho udaas
tujh ko sazā se munsif-e-a.alā bachā.egā
tū ne bhī apnī qaum ko baḳhshī nahīñ ziyā
ilzām ai 'qamar' ye tire sar pe aa.egā
hota nahin yaqin mujhe chhoD jaega
wo mera pyar meri wafa aazmaega
ai sang-e-surKH toD na nafrat ki zarb se
nazuk hai mera shisha-e-dil TuT jaega
zar bhi zamin bhi nur-e-mohammad bhi hai tera
ek sath chal ke dekh zamane pe chhaega
bhaunron ko itni dawat-e-hirs-o-hawas na de
tujh se tera gulab-badan chhuT jaega
ye daur wo nahin hai ki muKHlis rahenge dost
ek din koi uThega tujhe kaT khaega
mujrim ke zulm-o-jaur se hargiz na ho udas
tujh ko saza se munsif-e-ala bachaega
tu ne bhi apni qaum ko baKHshi nahin ziya
ilzam ai 'qamar' ye tere sar pe aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.