hote hain KHatm ab ye lamhat zindagi ke
hote haiñ ḳhatm ab ye lamhāt zindagī ke
mehmān haiñ jahāñ meñ ham aur do ghaḌī ke
ai be-niyāz merā sajda qubūl kar le
maiñ jāntā nahīñ huuñ ādāb bandagī ke
sāñsoñ ke taar tum ne ġhaflat se toḌ Daale
naġhme sunoge ab kyūñkar sāz-e-zindagī ke
ab ḳhairiyat nahīñ hai tanzīm-e-do-jahāñ kī
tevar batā rahe haiñ us but kī ḳhud-sarī ke
ra.anā.iyoñ pe apnī nāzāñ na hoñ bahāreñ
anjām-e-ġham nihāñ hai āġhāz meñ ḳhushī ke
hañsnā thā chaar din kā ronā hai umr bhar kā
dastūr meñ nirāle duniyā-e-āshiqī ke
umr-e-azīz kā jab anjām khul chukā hai
rone se fā.eda kyā badle meñ ab hañsī ke
ham ne rah-e-vafā meñ luT kar qadam qadam par
chhīne haiñ rahzanoñ se atvār rahzanī ke
jab tak na āzmā.eñ mushkil hai ye batānā
duniyā meñ kaun 'rif.at' qābil hai dostī ke
hote hain KHatm ab ye lamhat zindagi ke
mehman hain jahan mein hum aur do ghaDi ke
ai be-niyaz mera sajda qubul kar le
main jaanta nahin hun aadab bandagi ke
sanson ke tar tum ne ghaflat se toD Dale
naghme sunoge ab kyunkar saz-e-zindagi ke
ab KHairiyat nahin hai tanzim-e-do-jahan ki
tewar bata rahe hain us but ki KHud-sari ke
ranaiyon pe apni nazan na hon bahaaren
anjam-e-gham nihan hai aaghaz mein KHushi ke
hansna tha chaar din ka rona hai umr bhar ka
dastur mein nirale duniya-e-ashiqi ke
umr-e-aziz ka jab anjam khul chuka hai
rone se faeda kya badle mein ab hansi ke
hum ne rah-e-wafa mein luT kar qadam qadam par
chhine hain rahzanon se atwar rahzani ke
jab tak na aazmaen mushkil hai ye batana
duniya mein kaun 'rifat' qabil hai dosti ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.