hote hain mujhse ru-ba-ru aazar ja-ba-ja
hote haiñ mujh se rū-ba-rū āzār jā-ba-jā
is par tire sitam haiñ mire yaar jā-ba-jā
kār-e-jahāñ ko chhoḌ tumhārī talāsh kī
tum ko bhī haare DhūñDh ke sarkār jā-ba-jā
DhūñDhā akele tanhā hakīmoñ ko shahr bhar
phirtā rahā akele hī bīmār jā-ba-jā
majnūñ ke ishq par hameñ hogā yaqīn jab
lailā pukāre qais ko sarshār jā-ba-jā
hote hain mujh se ru-ba-ru aazar ja-ba-ja
is par tere sitam hain mere yar ja-ba-ja
kar-e-jahan ko chhoD tumhaari talash ki
tum ko bhi haare DhunDh ke sarkar ja-ba-ja
DhunDha akele tanha hakimon ko shahr bhar
phirta raha akele hi bimar ja-ba-ja
majnun ke ishq par hamein hoga yaqin jab
laila pukare qais ko sarshaar ja-ba-ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.