hote rahe hain radd-o-badal is zamin par
hote rahe haiñ radd-o-badal is zamīn par
khanDar bhī ban ga.e haiñ mahal is zamīn par
parvāz par ho aaj uḌo āsmān meñ
aanā paḌegā lauT ke kal is zamīn par
marne ke ba.ad ho ki na ho svarg aur nark
bo.oge jaisā pāoge phal is zamīn par
is aaj ko pakaḌ ke vasūlo har ek pal
aa.egā ye na lauT ke kal is zamīn par
shīshe sā terā dil hai zarā saaf rakh ise
ban jā.egā ye shīsh-mahal is zamīn par
anjām ishq kā hai judā.ī yaqīn kar
batlā rahā hai tāj-mahal is zamīn par
ham se kahā gayā na 'nayā' sher ek bhī
aa.ī utar ke ḳhud hī ġhazal is zamīn par
hote rahe hain radd-o-badal is zamin par
khanDar bhi ban gae hain mahal is zamin par
parwaz par ho aaj uDo aasman mein
aana paDega lauT ke kal is zamin par
marne ke baad ho ki na ho swarg aur nark
booge jaisa paoge phal is zamin par
is aaj ko pakaD ke wasulo har ek pal
aaega ye na lauT ke kal is zamin par
shishe sa tera dil hai zara saf rakh ise
ban jaega ye shish-mahal is zamin par
anjam ishq ka hai judai yaqin kar
batla raha hai taj-mahal is zamin par
hum se kaha gaya na 'naya' sher ek bhi
aai utar ke KHud hi ghazal is zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.