hoti hai aaj ahl-e-qafas mein chaman ki baat
hotī hai aaj ahl-e-qafas meñ chaman kī baat
ġhurbat meñ kar rahe haiñ musāfir vatan kī baat
aatā hai mujh ko ik dil-e-marhūm kā ḳhayāl
kartā hai jab koī kisī paimāñ-shikan kī baat
Duubī huī hai nashsha-o-nik.hat meñ chāñdnī
ye raat aur shāhid-e-gul-pairahan kī baat
ahl-e-junūñ kā qissa-e-me.arāj-e-ishq hai
mash.hūr hai jahāñ meñ jo dār-o-rasan kī baat
vīrāñ-nasībyoñ ko chhupāne ke vāste
kartā huuñ maiñ bhī logoñ meñ mil kar chaman kī baat
ye bhī hai un kī shoḳh-mizājī na pūchhiye
kahte haiñ arz-e-shauq ko dīvāna-pan kī baat
arbāb-e-shauq ke liye dars-e-hayāt hai
ye puḳhtagī-e-hausla-e-kohkan kī baat
jalte haiñ daaġh dil ke to hotī hai raushnī
kyā gul khilā ga.ī kisī sho.ala-badan kī baat
ye shaam ye sukūt ye be-kaif zindagī
dil ko masal rahī hai tirī anjuman kī baat
nazroñ meñ jhūmtī hai bahār-e-jamāl-e-yār
hoñToñ ko chūmtī hai gul-o-nastaran kī baat
suljhā rahā huuñ zulf-e-urūs-e-junūñ ko maiñ
ai kaash koī chheḌe na dār-o-rasan kī baat
misl-e-nasīm shohra-e-husn-e-butāñ ke saath
pahuñchī hai dūr-dūr tak arbāb-e-fan kī baat
bād-e-sumūm kartī hai ġhunchoñ ko muzmahil
dil ko malūl kartī hai ranj-o-mehan kī baat
'nāsir' isī meñ fan kī taraqqī kā raaz hai
ahl-e-nazar kareñ na mazāq-e-kuhan kī baat
hoti hai aaj ahl-e-qafas mein chaman ki baat
ghurbat mein kar rahe hain musafir watan ki baat
aata hai mujh ko ek dil-e-marhum ka KHayal
karta hai jab koi kisi paiman-shikan ki baat
Dubi hui hai nashsha-o-nikhat mein chandni
ye raat aur shahid-e-gul-pairahan ki baat
ahl-e-junun ka qissa-e-mearaj-e-ishq hai
mashhur hai jahan mein jo dar-o-rasan ki baat
viran-nasibyon ko chhupane ke waste
karta hun main bhi logon mein mil kar chaman ki baat
ye bhi hai un ki shoKH-mizaji na puchhiye
kahte hain arz-e-shauq ko diwana-pan ki baat
arbab-e-shauq ke liye dars-e-hayat hai
ye puKHtagi-e-hausla-e-kohkan ki baat
jalte hain dagh dil ke to hoti hai raushni
kya gul khila gai kisi shoala-badan ki baat
ye sham ye sukut ye be-kaif zindagi
dil ko masal rahi hai teri anjuman ki baat
nazron mein jhumti hai bahaar-e-jamal-e-yar
honTon ko chumti hai gul-o-nastaran ki baat
suljha raha hun zulf-e-urus-e-junun ko main
ai kash koi chheDe na dar-o-rasan ki baat
misl-e-nasim shohra-e-husn-e-butan ke sath
pahunchi hai dur-dur tak arbab-e-fan ki baat
baad-e-sumum karti hai ghunchon ko muzmahil
dil ko malul karti hai ranj-o-mehan ki baat
'nasir' isi mein fan ki taraqqi ka raaz hai
ahl-e-nazar karen na mazaq-e-kuhan ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.