hoti hai tabiat hi KHuda-dad kisi ki
hotī hai tabī.at hī ḳhudā-dād kisī kī
ulfat meñ vafā.eñ nahīñ ījād kisī kī
nākām phirī arsh se fariyād kisī kī
kis dar se umīdeñ huiiñ barbād kisī kī
allāh re pābandī-e-ādāb-e-mohabbat
fariyād bhī goyā nahīñ āzād kisī kī
aa ai ġham-e-daurāñ tujhe siine se lagā luuñ
bhūle se bhī aatī nahīñ ab yaad kisī kī
unvān-e-mohabbat hai nigāh-e-ġhalat-andāz
mustaġhnī-e-tamhīd hai rūdād kisī kī
miTte hue is tarah kisī ko nahīñ dekhā
jis tarah se hastī huī barbād kisī kī
afsāna-e-farhād kī tamhīd uThā.ī
hamrāz magar kah gayā rūdād kisī kī
gustāḳh tamannāoñ ne kyā chheḌ diyā hai
sharmā.ī huī dil meñ hai kyoñ yaad kisī kī
kis dard bhare dil kī 'munīr' aah sadā hai
ik paikar-e-betāb hai fariyād kisī kī
hoti hai tabiat hi KHuda-dad kisi ki
ulfat mein wafaen nahin ijad kisi ki
nakaam phiri arsh se fariyaad kisi ki
kis dar se umiden huin barbaad kisi ki
allah re pabandi-e-adab-e-mohabbat
fariyaad bhi goya nahin aazad kisi ki
aa ai gham-e-dauran tujhe sine se laga lun
bhule se bhi aati nahin ab yaad kisi ki
unwan-e-mohabbat hai nigah-e-ghalat-andaz
mustaghni-e-tamhid hai rudad kisi ki
miTte hue is tarah kisi ko nahin dekha
jis tarah se hasti hui barbaad kisi ki
afsana-e-farhad ki tamhid uThai
hamraaz magar kah gaya rudad kisi ki
gustaKH tamannaon ne kya chheD diya hai
sharmai hui dil mein hai kyon yaad kisi ki
kis dard bhare dil ki 'munir' aah sada hai
ek paikar-e-betab hai fariyaad kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.