howen bar-aks bhala kyun na wo aghyar se KHush
howen bar-aks bhala kyun na wo aghyar se KHush
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
hoveñ bar-aks bhalā kyuuñ na vo aġhyār se ḳhush
kisī ma.ashūq ko dekhā na vafādār se ḳhush
har duā par hameñ dushnām mayassar hai kahāñ
shāmat-e-nafs hai gar hoveñ na sarkār se ḳhush
naqd-e-dil bhī jo koī de ke na māñge bosa
vo huā karte haiñ bas aise ḳharīdār se ḳhush
ġhaur se maiñ ne jo dekhā to kahīñ aalam meñ
koī hogā na ziyāda tire bīmār se ḳhush
kyā ajab mujh se ḳhafā hove agar vo 'ārif'
kisī ma.ashūq ko dekhā na vafādār se ḳhush
howen bar-aks bhala kyun na wo aghyar se KHush
kisi mashuq ko dekha na wafadar se KHush
har dua par hamein dushnam mayassar hai kahan
shamat-e-nafs hai gar howen na sarkar se KHush
naqd-e-dil bhi jo koi de ke na mange bosa
wo hua karte hain bas aise KHaridar se KHush
ghaur se main ne jo dekha to kahin aalam mein
koi hoga na ziyaada tere bimar se KHush
kya ajab mujh se KHafa howe agar wo 'arif'
kisi mashuq ko dekha na wafadar se KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.