hua hai har tarah pamal qalb-e-na-tawan mera
huā hai har tarah pāmāl qalb-e-nā-tavāñ merā
bigāḌegā bhalā ab aur kyā ye āsmāñ merā
sunā.ūñ apnī rūdād-e-mohabbat kis ko duniyā meñ
na koī ham-nafas merā na koī rāz-dāñ merā
nazar se duur hai manzil abhī hai bebasī apnī
bhaTaktā hai abhī rāh-e-junūñ meñ kārvāñ merā
hazāroñ āñdhiyāñ aa.eñ hazāroñ bijliyāñ chamkeñ
rahegā hashr tak ābād yūñhī gulsitāñ merā
junūn-o-hosh kī har kaifiyat se be-ḳhabar ho kar
tumhārī yaad meñ Duubā hai qalb-e-nā-tavāñ merā
maiñ har ik āzmā.ish ke liye tayyār huuñ 'nayyar'
vo jis tarah bhī chāheñ shauq se leñ imtihāñ merā
hua hai har tarah pamal qalb-e-na-tawan mera
bigaDega bhala ab aur kya ye aasman mera
sunaun apni rudad-e-mohabbat kis ko duniya mein
na koi ham-nafas mera na koi raaz-dan mera
nazar se dur hai manzil abhi hai bebasi apni
bhaTakta hai abhi rah-e-junun mein karwan mera
hazaron aandhiyan aaen hazaron bijliyan chamken
rahega hashr tak aabaad yunhi gulsitan mera
junun-o-hosh ki har kaifiyat se be-KHabar ho kar
tumhaari yaad mein Duba hai qalb-e-na-tawan mera
main har ek aazmaish ke liye tayyar hun 'nayyar'
wo jis tarah bhi chahen shauq se len imtihan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.