hua hai mujh pe kuchh aisa asar uske tabassum se
huā hai mujh pe kuchh aisā asar us ke tabassum se
huā gulzār hai merā safar us ke tabassum se
vo halkī muskurāhaT aur kināre pe vo kaalā til
nahīñ haTtī zamāne kī nazar us ke tabassum se
yaqīñ hai mujh ko us kā koī bhī saanī nahīñ hogā
huā nāyāb hai vo is qadar us ke tabassum se
bachā.e Dūbne se ab koī ḳhud ko bhalā kaise
bane jo gaal par qātil bhañvar us ke tabassum se
kabhī pūchheñ agar ahl-e-jahāñ jo us ke baare meñ
kahūñgā maiñ ki hotī hai sahar us ke tabassum se
hua hai mujh pe kuchh aisa asar us ke tabassum se
hua gulzar hai mera safar us ke tabassum se
wo halki muskurahaT aur kinare pe wo kala til
nahin haTti zamane ki nazar us ke tabassum se
yaqin hai mujh ko us ka koi bhi sani nahin hoga
hua nayab hai wo is qadar us ke tabassum se
bachae Dubne se ab koi KHud ko bhala kaise
bane jo gal par qatil bhanwar us ke tabassum se
kabhi puchhen agar ahl-e-jahan jo us ke bare mein
kahunga main ki hoti hai sahar us ke tabassum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.