hua hai na hoga zamana kisi ka
huā hai na hogā zamāna kisī kā
uThānā kisī ko girānā kisī kā
ka.ī rahnumā the alāva bhī dil ke
magar ham ne kahnā na maanā kisī kā
ta.alluq kahāñ zindagī se hamārā
ta.āruf hai bas ġhā.ebāna kisī kā
muqaddar hī avval muqaddar hī āḳhir
na paanī kisī kā na daana kisī kā
jo baaqī bacheñge vo kaise jiyeñge
agar ho hī jaa.e zamāna kisī kā
binā vaj.h-e-azmat nazar meñ sabhī kī
jo kirdār thā mujrimāna kisī kā
zamāne ko bardāsht hotā nahīñ hai
nayā koī paudā lagānā kisī kā
bahut dard detā hai 'parvez' 'aḳhtar'
musalsal hameñ āzmānā kisī kā
vahāñ par haiñ 'parvez' ab ham jahāñ par
na aanā kisī kā na jaanā kisī kā
hua hai na hoga zamana kisi ka
uThana kisi ko girana kisi ka
kai rahnuma the alawa bhi dil ke
magar hum ne kahna na mana kisi ka
talluq kahan zindagi se hamara
taaruf hai bas ghaebana kisi ka
muqaddar hi awwal muqaddar hi aaKHir
na pani kisi ka na dana kisi ka
jo baqi bachenge wo kaise jiyenge
agar ho hi jae zamana kisi ka
bina wajh-e-azmat nazar mein sabhi ki
jo kirdar tha mujrimana kisi ka
zamane ko bardasht hota nahin hai
naya koi pauda lagana kisi ka
bahut dard deta hai 'parwez' 'aKHtar'
musalsal hamein aazmana kisi ka
wahan par hain 'parwez' ab hum jahan par
na aana kisi ka na jaana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.