hua hai sar mein sauda phir kisi zulf-e-pareshan ka
hua hai sar mein sauda phir kisi zulf-e-pareshan ka
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
huā hai sar meñ saudā phir kisī zulf-e-pareshāñ kā
na dāman kī ḳhabar ham ko na hosh apne garebāñ kā
kabhī jo dekh leñ mahfil meñ vo in tirchhī nazroñ se
nazar aa.e samāñ us vaqt phir ganj-e-shahīdāñ kā
vo karte to haiñ va.ada roz lekin vā.e-nākāmī
nahīñ hai paas un ko kuchh bhī apne ahd-o-paimāñ kā
mujhe dafnāne vo aa.e to madfan meñ ye shor uTThā
tire marne se jaagā baḳht hai gor-e-ġharībāñ kā
ta.ajjub kyā pasīje ek din dil us sitamgar kā
agar ro kar sunā duuñ us ko qissa shām-e-hijrāñ kā
mirī jaañ kā hai tālib vo ki dil se phir gayā ab dil
zarā dekho to 'shaidā' mo.ajiza us āfat-e-jāñ kā
hua hai sar mein sauda phir kisi zulf-e-pareshan ka
na daman ki KHabar hum ko na hosh apne gareban ka
kabhi jo dekh len mahfil mein wo in tirchhi nazron se
nazar aae saman us waqt phir ganj-e-shahidan ka
wo karte to hain wada roz lekin wae-nakaami
nahin hai pas un ko kuchh bhi apne ahd-o-paiman ka
mujhe dafnane wo aae to madfan mein ye shor uTTha
tere marne se jaga baKHt hai gor-e-ghariban ka
tajjub kya pasije ek din dil us sitamgar ka
agar ro kar suna dun us ko qissa sham-e-hijran ka
meri jaan ka hai talib wo ki dil se phir gaya ab dil
zara dekho to 'shaida' moajiza us aafat-e-jaan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.