hua hai zer-e-zamin aasman ajib sa kuchh
huā hai zer-e-zamīñ āsmāñ ajiib sā kuchh
maiñ jis meñ rahtā huuñ vo hai makāñ ajiib sā kuchh
falak se aatā hai ruq.a hamāre hone kā
hai apne māthe pe raushan nishāñ ajiib sā kuchh
kahāñ kā vasl bhalā aur kahāñ kī hasrat-e-vasl
har ek lamha huā be-amāñ ajiib sā kuchh
anā kī jis se thī ummīd vo hai nañg-e-anā
jise thā honā vahī hai yahāñ ajiib sā kuchh
kahāñ maiñ hotā huuñ āmāda kahne sunñe par
lahū se merī ragoñ meñ ravāñ ajiib sā kuchh
maiñ jabr apnī tabī.at pe jab bhī kartā huuñ
dikhā.ī detā hai mujh ko jahāñ ajiib sā kuchh
hai tere sheroñ meñ kuchh aisī ḳhush-gumānī 'tūr'
bayān-e-husn hai husn-e-bayāñ ajiib sā kuchh
hua hai zer-e-zamin aasman ajib sa kuchh
main jis mein rahta hun wo hai makan ajib sa kuchh
falak se aata hai ruqa hamare hone ka
hai apne mathe pe raushan nishan ajib sa kuchh
kahan ka wasl bhala aur kahan ki hasrat-e-wasl
har ek lamha hua be-aman ajib sa kuchh
ana ki jis se thi ummid wo hai nang-e-ana
jise tha hona wahi hai yahan ajib sa kuchh
kahan main hota hun aamada kahne sunne par
lahu se meri ragon mein rawan ajib sa kuchh
main jabr apni tabiat pe jab bhi karta hun
dikhai deta hai mujh ko jahan ajib sa kuchh
hai tere sheron mein kuchh aisi KHush-gumani 'tur'
bayan-e-husn hai husn-e-bayan ajib sa kuchh
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 532)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.