hua hun dil seti banda piya ki mehrbani ka
huā huuñ dil setī bandā piyā kī mehrbānī kā
fidā kartā huuñ har dam jī kuuñ apne yār-e-jānī kā
diye meñ juuñ batī ho yuuñ dahaktī hai zabāñ mukh meñ
karūñ jis raat ke andar bayāñ soz-e-nihānī kā
uñjho añkhiyāñ ke roġhan haiñ hamāre shola-e-dil kuuñ
bujhānā ishq kī ātish nahīñ hai kaam paanī kā
asar kartā hai naala 'ābrū' kā sañg ke dil meñ
hunar sīkhā hai shāyad kohkan suuñ tesha-rānī kā
hua hun dil seti banda piya ki mehrbani ka
fida karta hun har dam ji kun apne yar-e-jaani ka
diye mein jun bati ho yun dahakti hai zaban mukh mein
karun jis raat ke andar bayan soz-e-nihani ka
unjho ankhiyan ke roghan hain hamare shola-e-dil kun
bujhana ishq ki aatish nahin hai kaam pani ka
asar karta hai nala 'abru' ka sang ke dil mein
hunar sikha hai shayad kohkan sun tesha-rani ka
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.