hua ek din mein humse ghair achchha
huā ik din meñ ham se ġhair achchhā
paḌā dar par kisī kā pair achchhā
kahā hai maiñ ne jo dekhā sunā hai
jo tum samjho burā to ḳhair achchhā
mohabbat ham se muñh dekhe kī yaaro
ho dil khoTā to muñh kā bair achchhā
hamāre rū-ba-rū laao to us ko
kaheñge ham haram se dair achchhā
miTā kar chal diye vo naqsh-e-pā bhī
hameñ ġhairoñ pe chhoḌā ḳhair achchhā
musībat meñ huā koī na apnā
agar hamdard ho to ġhair achchhā
vafā ko bhī tirī vo jaur samjhe
'kañval' tū ne kamāyā bair achchhā
hua ek din mein hum se ghair achchha
paDa dar par kisi ka pair achchha
kaha hai main ne jo dekha suna hai
jo tum samjho bura to KHair achchha
mohabbat hum se munh dekhe ki yaro
ho dil khoTa to munh ka bair achchha
hamare ru-ba-ru lao to us ko
kahenge hum haram se dair achchha
miTa kar chal diye wo naqsh-e-pa bhi
hamein ghairon pe chhoDa KHair achchha
musibat mein hua koi na apna
agar hamdard ho to ghair achchha
wafa ko bhi teri wo jaur samjhe
'kanwal' tu ne kamaya bair achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.