hua iqrar dilli mein hua inkar dilli mein
huā iqrār dillī meñ huā inkār dillī meñ
basā bhī aur ujḌā bhī mirā sansār dillī meñ
mulāqāteñ huā kartī thiiñ dariyā-ganj meñ aksar
maiñ rahtī panipat meñ thī vo jamunā-pār dillī meñ
na manzar ḳhushnumā hogā na mausam ḳhushnumā hogā
bachegā kyā tumhāre baa'd mere yaar dillī meñ
alag hī shān-o-shaukat hotī thī us vaqt dillī kī
sajā kartā thā jab akbar kā vo darbār dillī meñ
kisī ke ek jumle ne mirī duniyā badal dī thī
december ke mahīne meñ ba-roz-itvār dillī meñ
buzurgoñ kī nishānī ko agar ho dekhnā 'sonam'
to jā kar dekh lenā tum qutub-mīnār dillī meñ
hua iqrar dilli mein hua inkar dilli mein
basa bhi aur ujDa bhi mera sansar dilli mein
mulaqaten hua karti thin dariya-ganj mein aksar
main rahti panipat mein thi wo jamuna-par dilli mein
na manzar KHushnuma hoga na mausam KHushnuma hoga
bachega kya tumhaare ba'd mere yar dilli mein
alag hi shan-o-shaukat hoti thi us waqt dilli ki
saja karta tha jab akbar ka wo darbar dilli mein
kisi ke ek jumle ne meri duniya badal di thi
december ke mahine mein ba-roz-itwar dilli mein
buzurgon ki nishani ko agar ho dekhna 'sonam'
to ja kar dekh lena tum qutub-minar dilli mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.