hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai
hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
huā jab jalva-ārā aap kā zauq-e-ḳhud-ārā.ī
tamāshā rah gayā ban kar jahāñ kā har tamāshā.ī
bahāreñ hī huā kartī haiñ tamhīd-e-ḳhizāñ aksar
vahāñ barsoñ rahā mātam jahāñ pal bhar ḳhushī aa.ī
bahar-sūrat qayāmat hai vo aa.eñ yā chale jaa.eñ
jo aa.e to sukūñ chhīnā ga.e to jaan taḌpā.ī
kalī chaTkī na gul mahke na ġhunchoñ par nikhār aayā
ajab andāz se ab ke gulistāñ meñ bahār aa.ī
jahāñ mujh ko nazar aayā koī naqsh-e-qadam un kā
vahīñ ik dam taḌap uTThā mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī
ye kyā tarz-e-musāvāt-e-jahāñ hai ādil-e-mutlaq
kahīñ aa.heñ nikaltī haiñ kahīñ bajtī hai shahnā.ī
mirī ḳhalvat meñ lākhoñ ārzūeñ jalva-farmā haiñ
kahīñ mahfil se baḌh kar hai mirī ai 'barq' tanhā.ī
hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai
tamasha rah gaya ban kar jahan ka har tamashai
bahaaren hi hua karti hain tamhid-e-KHizan aksar
wahan barson raha matam jahan pal bhar KHushi aai
bahar-surat qayamat hai wo aaen ya chale jaen
jo aae to sukun chhina gae to jaan taDpai
kali chaTki na gul mahke na ghunchon par nikhaar aaya
ajab andaz se ab ke gulistan mein bahaar aai
jahan mujh ko nazar aaya koi naqsh-e-qadam un ka
wahin ek dam taDap uTTha mera zauq-e-jabin-sai
ye kya tarz-e-musawat-e-jahan hai aadil-e-mutlaq
kahin aahen nikalti hain kahin bajti hai shahnai
meri KHalwat mein lakhon aarzuen jalwa-farma hain
kahin mahfil se baDh kar hai meri ai 'barq' tanhai
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 68)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.