huā jab TūTnā abtar navā be-sūd shīshe kā
uThā shahr-e-qazā meñ mudda.ā nā-būd shīshe kā
ki bas bāda-kashī matlab tavāñ har jā hai shīshe kī
thā kab marġhūb thā idrāk yaañ mardūd shīshe kā
nafas marg-e-nafas hotā hai juuñ shīshe kī ḳhilqat meñ
asar be-laus hotā hai jidhar mahdūd shīshe kā
kisū ḳhāliq kā da.avā kar gayā phir mar gayā insāñ
ḳhudā.ī kar nahīñ saktā kabhī namrūd shīshe kā
ibārat muntaqil rahtī hai phir parvardigārāñ se
kahīñ but hai tū patthar kā kahīñ ma.abūd shīshe kā
'abāñ' ko tum kaho insāñ kaho insāñ ko tum shīsha
kaho maujūd insāñ to kaho maujūd shīshe kā
hua jab TuTna abtar nawa be-sud shishe ka
uTha shahr-e-qaza mein muddaa na-bud shishe ka
ki bas baada-kashi matlab tawan har ja hai shishe ki
tha kab marghub tha idrak yan mardud shishe ka
nafas marg-e-nafas hota hai jun shishe ki KHilqat mein
asar be-laus hota hai jidhar mahdud shishe ka
kisu KHaliq ka dawa kar gaya phir mar gaya insan
KHudai kar nahin sakta kabhi namrud shishe ka
ibarat muntaqil rahti hai phir parwardigaran se
kahin but hai tu patthar ka kahin mabud shishe ka
'aban' ko tum kaho insan kaho insan ko tum shisha
kaho maujud insan to kaho maujud shishe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.