hua kam na jis ka asar zindagi bhar
huā kam na jis kā asar zindagī bhar
nazar meñ rahī vo nazar zindagī bhar
ham un ke tasavvur meñ kho.e hue haiñ
na ho un ko shāyad ḳhabar zindagī bhar
hamāre tasavvur meñ thā jis kā naqshā
na paayā hameñ vo hī ghar zindagī bhar
na aa.egā vo lauT kar ye ḳhabar thī
rahā muntazir maiñ magar zindagī bhar
kaheñ be-hunar ham use kis hunar se
na aayā hameñ ye hunar zindagī bhar
vo merī uḌānoñ se ḳhā.if thā shāyad
katartā rahā mere par zindagī bhar
na utregā ehsān ik pal kā 'vājid'
kareñ maañ kī ḳhidmat agar zindagī bhar
hua kam na jis ka asar zindagi bhar
nazar mein rahi wo nazar zindagi bhar
hum un ke tasawwur mein khoe hue hain
na ho un ko shayad KHabar zindagi bhar
hamare tasawwur mein tha jis ka naqsha
na paya hamein wo hi ghar zindagi bhar
na aaega wo lauT kar ye KHabar thi
raha muntazir main magar zindagi bhar
kahen be-hunar hum use kis hunar se
na aaya hamein ye hunar zindagi bhar
wo meri uDanon se KHaif tha shayad
katarta raha mere par zindagi bhar
na utrega ehsan ek pal ka 'wajid'
karen man ki KHidmat agar zindagi bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.