hua kitna mushkil wafadar hona
huā kitnā mushkil vafādār honā
ki paḌtā hai us meñ bhī bas ḳhvār honā
achambhe se ḳhālī nahīñ baat ye bhī
diyā jis ne ġham us kā ġham-ḳhvār honā
ajab daur meñ saañs ham le rahe haiñ
ki taklīf detā hai bedār honā
qayāmat se kam to nahīñ mere dil kā
ḳhudā kī qasam tujh se bezār honā
nibhāne kā yaarā nahīñ hai to sun lo
kisī kā tum ab na ai yaar honā
tujhe us kī tāqat kā andāza kab hai
qalam ne bhī sīkhā hai talvār honā
'zohaib' is liye kaam kartā huuñ har pal
farāġhat kā matlab hai be-kār honā
hua kitna mushkil wafadar hona
ki paDta hai us mein bhi bas KHwar hona
achambhe se KHali nahin baat ye bhi
diya jis ne gham us ka gham-KHwar hona
ajab daur mein sans hum le rahe hain
ki taklif deta hai bedar hona
qayamat se kam to nahin mere dil ka
KHuda ki qasam tujh se bezar hona
nibhane ka yara nahin hai to sun lo
kisi ka tum ab na ai yar hona
tujhe us ki taqat ka andaza kab hai
qalam ne bhi sikha hai talwar hona
'zohaib' is liye kaam karta hun har pal
faraghat ka matlab hai be-kar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.