hua kuchh yun ki pachhtae bahut hain
huā kuchh yuuñ ki pachhtā.e bahut haiñ
tumheñ sochā sharmā.e bahut haiñ
jise phūloñ ke tohfe ham ne bheje
usī ne sañg barsā.e bahut haiñ
jo sach pūchho to ab ke yuuñ huā hai
tere ġham se bhī uktā.e bahut haiñ
chubhe paañv meñ kāñTe yaad aayā
ki ham ne pel Thukrā.e bahut haiñ
aur ab to ġham chhupānā aa gayā hai
ki aañsū pī ke muskā.e bahut haiñ
musalsal kar liyā patjhaḌ ko mehmāñ
ye mausam dil ko raas aa.e bahut haiñ
ye aañsū bhī navāzish haiñ usī kī
karam bhī jis ne farmā.e bahut haiñ
merī chāhat bhī sikkoñ meñ tulī hai
tahī-dāman the sharmā.e bahut haiñ
hua kuchh yun ki pachhtae bahut hain
tumhein socha sharmae bahut hain
jise phulon ke tohfe hum ne bheje
usi ne sang barsae bahut hain
jo sach puchho to ab ke yun hua hai
tere gham se bhi uktae bahut hain
chubhe panw mein kanTe yaad aaya
ki hum ne pel Thukrae bahut hain
aur ab to gham chhupana aa gaya hai
ki aansu pi ke muskae bahut hain
musalsal kar liya patjhaD ko mehman
ye mausam dil ko ras aae bahut hain
ye aansu bhi nawazish hain usi ki
karam bhi jis ne farmae bahut hain
meri chahat bhi sikkon mein tuli hai
tahi-daman the sharmae bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.