hua na KHatm saron se azab barish ka
huā na ḳhatm saroñ se azaab bārish kā
vahī hai shahr vahī mas.ala rihā.ish kā
zamīñ kī kokh ujaḌ jaa.e ab ke bārish meñ
pata chale na hameñ āsmāñ kī sāzish kā
yahāñ ke log bhī hote the devtā jaise
baḌā rivāj thā is gaañv meñ parastish kā
pahan rakhe the sabhī ne zarūratoñ ke libās
kisī ko shauq na thā jism kī numā.ish kā
ye aur baat ki ham ab bhī roz milte haiñ
tilism TuuT chukā varna terī ḳhvāhish kā
ki vo mile to salām-o-duā na ho us se
lihāz itnā bhī rakkhā na jaa.e bandish kā
'shakīl' pūchhne vāloñ ko kyā batātā maiñ
koī sabab hī nahīñ thā hamārī ranjish kā
hua na KHatm saron se azab barish ka
wahi hai shahr wahi masala rihaish ka
zamin ki kokh ujaD jae ab ke barish mein
pata chale na hamein aasman ki sazish ka
yahan ke log bhi hote the dewta jaise
baDa riwaj tha is ganw mein parastish ka
pahan rakhe the sabhi ne zaruraton ke libas
kisi ko shauq na tha jism ki numaish ka
ye aur baat ki hum ab bhi roz milte hain
tilism TuT chuka warna teri KHwahish ka
ki wo mile to salam-o-dua na ho us se
lihaz itna bhi rakkha na jae bandish ka
'shakil' puchhne walon ko kya batata main
koi sabab hi nahin tha hamari ranjish ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.