hua na mujhse koi ham-kalam gardish mein
huā na mujh se koī ham-kalām gardish meñ
dhuāñ hue haiñ mire sub.h-o-shām gardish meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb huā har zamāna-e-vahshat
utar chuke haiñ sabhī ḳhush-ḳhirām gardish meñ
maiñ bhāgtā huuñ sar-e-dasht-e-karbalā aur phir
izāfa karte haiñ aa kar imaam gardish meñ
mirī talab mirī raftār ke munāfī hai
maiñ ḳhaas shaḳhs huuñ rahtā huuñ 'aam gardish meñ
panap rahā hai kahīñ dil meñ shauq-e-dīd-o-shunīd
dhaḌak rahe haiñ zamāne mudām gardish meñ
badal badal ke ka.ī haath hashr uThātā hai
banā rahā hai koī rāh-e-jām gardish meñ
ḳhudā kā shukr adā kartā huuñ maiñ sub.h-o-masā
laboñ pe rakh ke darūd-o-salām gardish meñ
badaltā rahtā hai chalne se mai-kade kā nizām
ki chal-chalāv se rahtā hai jaam gardish meñ
rah-e-fanā pe qadam rakh ke phañs na jā.ūñ kahīñ
lagā rakhā hai ḳhudā.ī ne daam gardish meñ
rukā huā huuñ maiñ ik gardishī jazīre par
guzar rahe haiñ mire sub.h-o-shām gardish meñ
ruke hue haiñ sabhī dost kyoñ 'fidā' mire
milegā un ko yaqīnan davām gardish meñ
hua na mujh se koi ham-kalam gardish mein
dhuan hue hain mere subh-o-sham gardish mein
KHayal-o-KHwab hua har zamana-e-wahshat
utar chuke hain sabhi KHush-KHiram gardish mein
main bhagta hun sar-e-dasht-e-karbala aur phir
izafa karte hain aa kar imam gardish mein
meri talab meri raftar ke munafi hai
main KHas shaKHs hun rahta hun 'am gardish mein
panap raha hai kahin dil mein shauq-e-did-o-shunid
dhaDak rahe hain zamane mudam gardish mein
badal badal ke kai hath hashr uThata hai
bana raha hai koi rah-e-jam gardish mein
KHuda ka shukr ada karta hun main subh-o-masa
labon pe rakh ke darud-o-salam gardish mein
badalta rahta hai chalne se mai-kade ka nizam
ki chal-chalaw se rahta hai jam gardish mein
rah-e-fana pe qadam rakh ke phans na jaun kahin
laga rakha hai KHudai ne dam gardish mein
ruka hua hun main ek gardishi jazire par
guzar rahe hain mere subh-o-sham gardish mein
ruke hue hain sabhi dost kyon 'fida' mere
milega un ko yaqinan dawam gardish mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.