hua naqib-e-bahaaran abhi nahin ai dil
huā naqīb-e-bahārāñ abhī nahīñ ai dil
ye rut badalne kā imkāñ abhī nahīñ ai dil
firāq-e-naġhma se mere hī lab malūl nahīñ
koī parinda ġhazal-ḳhvāñ abhī nahīñ ai dil
abhī kuchh aur ḳhajil ho rah-e-tamannā par
tū is ke lutf kā unvāñ abhī nahīñ ai dil
use bhulāne meñ kuchh vaqt to lagegā mujhe
ye kaam itnā bhī āsāñ abhī nahīñ ai dil
tum apnī saarī kamandeñ na pheñk denā kahīñ
udhar vo chashm gurezāñ abhī nahīñ ai dil
sañvar kuchh aur ki jalva-numā.iyāñ terī
nigāh-e-shauq ke shāyāñ abhī nahīñ ai dil
charāġh-e-ḳhvāb ho raushan to koī baat bane
nashāt-e-dīda-e-hairāñ abhī nahīñ ai dil
hua naqib-e-bahaaran abhi nahin ai dil
ye rut badalne ka imkan abhi nahin ai dil
firaq-e-naghma se mere hi lab malul nahin
koi parinda ghazal-KHwan abhi nahin ai dil
abhi kuchh aur KHajil ho rah-e-tamanna par
tu is ke lutf ka unwan abhi nahin ai dil
use bhulane mein kuchh waqt to lagega mujhe
ye kaam itna bhi aasan abhi nahin ai dil
tum apni sari kamanden na phenk dena kahin
udhar wo chashm gurezan abhi nahin ai dil
sanwar kuchh aur ki jalwa-numaiyan teri
nigah-e-shauq ke shayan abhi nahin ai dil
charagh-e-KHwab ho raushan to koi baat bane
nashat-e-dida-e-hairan abhi nahin ai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.