hua piri mein ishq us naujawan ka
huā piirī meñ ishq us naujavāñ kā
ilāhī mujh meñ zor aaya kahāñ kā
paḌā saaya jo us sarv-e-ravāñ kā
milā rutba zamīñ ko āsmāñ kā
irāda jab huā mujh ko fuġhāñ kā
dhuāñ ban kar uḌā rang āsmāñ kā
samajhte haiñ gadā qand-e-mukarrar
kalām us ḳhusrav-e-shīrīñ-dahāñ kā
dil apnā bach nahīñ saktā nazar se
nishāna hai vo tīr-e-be-kamāñ kā
bahut DhūñDhī kamar āḳhir na paa.ī
patā miltā kahīñ hai be-nishāñ kā
paḌī majnūñ ke paañv meñ jo zanjīr
uThānā hī paḌā bār-e-garāñ kā
miTā huuñ ai humā un kī talab meñ
tajassus chhoḌ mere ustuḳhvāñ kā
safar hai āḳhirat kā pesh 'ājiz'
tujhe sāmān lāzim hai vahāñ kā
hua piri mein ishq us naujawan ka
ilahi mujh mein zor aaya kahan ka
paDa saya jo us sarw-e-rawan ka
mila rutba zamin ko aasman ka
irada jab hua mujh ko fughan ka
dhuan ban kar uDa rang aasman ka
samajhte hain gada qand-e-mukarrar
kalam us KHusraw-e-shirin-dahan ka
dil apna bach nahin sakta nazar se
nishana hai wo tir-e-be-kaman ka
bahut DhunDhi kamar aaKHir na pai
pata milta kahin hai be-nishan ka
paDi majnun ke panw mein jo zanjir
uThana hi paDa bar-e-garan ka
miTa hun ai huma un ki talab mein
tajassus chhoD mere ustuKHwan ka
safar hai aaKHirat ka pesh 'ajiz'
tujhe saman lazim hai wahan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.