hawa sarkash andhera saKHt-jaan hai
havā sarkash añdherā saḳht-jāñ hai
charāġhoñ ko magar kyā kyā gumāñ hai
yaqīñ to joḌ detā hai diloñ ko
koī shai aur apne darmiyāñ hai
abhī se kyuuñ lahū rone lagī aañkh
pas-e-manzar bhī koī imtihāñ hai
vahī be-faiz rātoñ kā tasalsul
vahī maiñ aur vahī ḳhvāb-e-girāñ hai
mire andar hai an-pyāsā kināra
mire atrāf ik dariyā ravāñ hai
hawa sarkash andhera saKHt-jaan hai
charaghon ko magar kya kya guman hai
yaqin to joD deta hai dilon ko
koi shai aur apne darmiyan hai
abhi se kyun lahu rone lagi aankh
pas-e-manzar bhi koi imtihan hai
wahi be-faiz raaton ka tasalsul
wahi main aur wahi KHwab-e-giran hai
mere andar hai an-pyasa kinara
mere atraf ek dariya rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.