hubab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
hubāb-āsā meñ dam bhartā huuñ terī āshnā.ī kā
nihāyat ġham hai is qatre ko dariyā kī judā.ī kā
asiir ai dost tere āshiq o ma.ashūq donoñ haiñ
giraftār āhanī zanjīr kā ye vo tilā.ī kā
ta'alluq ruuh se mujh ko jasad kā nā-gavārā hai
zamāne meñ chalan hai chaar din kī āshnā.ī kā
firāq-e-yār meñ mar mar ke āḳhir zindagānī ke
rahā sadma hamesha ruuh o qālib kī judā.ī kā
huī manzūr muhtājī na tujh ko apnī saa.il kī
banāyā kāsa-e-sar vāzhgūñ kaasa gadā.ī kā
nazar aatī haiñ har-sū sūrateñ hī sūrateñ mujh ko
koī ā.īna-ḳhāna kār-ḳhāna hai judā.ī kā
visāl-e-yār kā va.ada hai fardā-e-qayāmat par
yaqīñ mujh ko nahīñ hai gor tak apnī rasā.ī kā
bharosa aah par hargiz nahīñ ai yaar āshiq ko
shikār ab tak kahīñ dekhā nahīñ tīr-e-havā.ī kā
dikhāyā husn se e.ajāz-e-mūsī cilk-e-qudarat ne
yad-e-baizā banāyā chuur añgusht-e-hinā.ī kā
nahīñ miTtī hai patthar kī lakīr ahbāb kahte haiñ
rahegā pā-e-but par naqsh apnī jab.ha-sā.ī kā
shikast-e-ḳhātir-e-ahbāb hotī hai durust is se
tavajjoh meñ tirī ai yaar asar hai momyā.ī kā
dil apnā ā.īna sā saaf ishq-e-pāk rakhtā hai
tamāshā dekhtā hai husn is meñ ḳhud-numā.ī kā
kaf-e-afsos malvātī hai terī pāk-dāmānī
pinhā kar shāhid-e-ismat ko jaama pārsā.ī kā
nahīñ dekhā hai lekin tujh ko pahchānā hai 'ātish' ne
bajā hai ai sanam jo tujh ko da.avā hai ḳhudā.ī kā
hubab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
nihayat gham hai is qatre ko dariya ki judai ka
asir ai dost tere aashiq o mashuq donon hain
giraftar aahani zanjir ka ye wo tilai ka
ta'alluq ruh se mujh ko jasad ka na-gawara hai
zamane mein chalan hai chaar din ki aashnai ka
firaq-e-yar mein mar mar ke aaKHir zindagani ke
raha sadma hamesha ruh o qalib ki judai ka
hui manzur muhtaji na tujh ko apni sail ki
banaya kasa-e-sar wazhgun kasa gadai ka
nazar aati hain har-su suraten hi suraten mujh ko
koi aaina-KHana kar-KHana hai judai ka
visal-e-yar ka wada hai farda-e-qayamat par
yaqin mujh ko nahin hai gor tak apni rasai ka
bharosa aah par hargiz nahin ai yar aashiq ko
shikar ab tak kahin dekha nahin tir-e-hawai ka
dikhaya husn se eajaz-e-musi cilk-e-qudarat ne
yad-e-baiza banaya chur angusht-e-hinai ka
nahin miTti hai patthar ki lakir ahbab kahte hain
rahega pa-e-but par naqsh apni jabha-sai ka
shikast-e-KHatir-e-ahbab hoti hai durust is se
tawajjoh mein teri ai yar asar hai momyai ka
dil apna aaina sa saf ishq-e-pak rakhta hai
tamasha dekhta hai husn is mein KHud-numai ka
kaf-e-afsos malwati hai teri pak-damani
pinha kar shahid-e-ismat ko jama parsai ka
nahin dekha hai lekin tujh ko pahchana hai 'atish' ne
baja hai ai sanam jo tujh ko dawa hai KHudai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.