hue ab to KHanjar uThane ke qabil
hue ab to ḳhanjar uThāne ke qābil
bane ho gale se lagāne ke qābil
nahīñ dīda-e-tar bahāne ke qābil
har aañsū hai motī luTāne ke qābil
vo aa.e to kab aa.e parde se bāhar
huā jab maiñ un se chhupāne ke qābil
ham apnī hī dīvār se phoḌ marte
agar sar hī hotā uThāne ke qābil
zamīñ par se ahl-e-jahāñ ko haTā do
jagah chhoḌ do tilmilāne ke qābil
abhī se mirī jaan ġhairoñ se va.ade
abhī ho to lo aane jaane ke qābil
tabassum se kyā ḳhanda-e-gul ko nisbat
kahīñ muñh bhī hai muskurāne ke qābil
ḳhudā ke liye gesūoñ ko na bal do
ye muuzī nahīñ sar chaḌhāne ke qābil
mirī qais kī kohkan kī kahānī
ye qisse haiñ sunñe sunāne ke qābil
na aa.e kahīñ maut ishq-e-butāñ meñ
ilāhī raheñ muñh dikhāne ke qābil
dil-e-soḳhta ḳhāl-e-hindū pe maa.il
musalmāñ kā murda jalāne ke qābil
butoñ se umīd-e-vafā kab hai 'sho.ala'
zamāna nahīñ dil lagāne ke qābil
hue ab to KHanjar uThane ke qabil
bane ho gale se lagane ke qabil
nahin dida-e-tar bahane ke qabil
har aansu hai moti luTane ke qabil
wo aae to kab aae parde se bahar
hua jab main un se chhupane ke qabil
hum apni hi diwar se phoD marte
agar sar hi hota uThane ke qabil
zamin par se ahl-e-jahan ko haTa do
jagah chhoD do tilmilane ke qabil
abhi se meri jaan ghairon se wade
abhi ho to lo aane jaane ke qabil
tabassum se kya KHanda-e-gul ko nisbat
kahin munh bhi hai muskurane ke qabil
KHuda ke liye gesuon ko na bal do
ye muzi nahin sar chaDhane ke qabil
meri qais ki kohkan ki kahani
ye qisse hain sunne sunane ke qabil
na aae kahin maut ishq-e-butan mein
ilahi rahen munh dikhane ke qabil
dil-e-soKHta KHal-e-hindu pe mail
musalman ka murda jalane ke qabil
buton se umid-e-wafa kab hai 'shoala'
zamana nahin dil lagane ke qabil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.