hue bhi ishq mein ruswa to ehtiram ke sath
hue bhī ishq meñ rusvā to ehtirām ke saath
tumhārā naam bhī aayā hamāre naam ke saath
tumhārī bazm meñ sab kā guzar hai mere sivā
ḳhusūsiyat hai zarūrī salā-e-ām ke saath
shikāyatoñ kā fasāna tire tabassum par
tamām ho gayā ik āh-e-nā-tamām ke saath
har ik fazā meñ masarrat ko ġham se nisbat hai
tirī sahar ko hai ik rabt merī shaam ke saath
fasurda phuul haiñ kaliyāñ udaas haiñ saarī
bahār aa.ī hai kis husn-e-intizām ke saath
taḌap rahā hai bahut din se zauq-e-barbādī
phir āshiyāna banātā huuñ ehtimām ke saath
yahī zamāna-e-nā-qadr mere ba.ad 'sa.īd'
mujhe bhī yaad karegā mire kalām ke saath
hue bhi ishq mein ruswa to ehtiram ke sath
tumhaara nam bhi aaya hamare nam ke sath
tumhaari bazm mein sab ka guzar hai mere siwa
KHususiyat hai zaruri sala-e-am ke sath
shikayaton ka fasana tere tabassum par
tamam ho gaya ek aah-e-na-tamam ke sath
har ek faza mein masarrat ko gham se nisbat hai
teri sahar ko hai ek rabt meri sham ke sath
fasurda phul hain kaliyan udas hain sari
bahaar aai hai kis husn-e-intizam ke sath
taDap raha hai bahut din se zauq-e-barbaadi
phir aashiyana banata hun ehtimam ke sath
yahi zamana-e-na-qadr mere baad 'said'
mujhe bhi yaad karega mere kalam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.