hue hain dost jab ai yar hum tum
hue haiñ dost jab ai yaar ham tum
kareñ kyuuñ bāhamī takrār ham tum
maiñ tum par aur tum dushman pe maa.il
hue haiñ saath hī bīmār ham tum
haiñ mahrūm-e-visāl-e-yār donoñ
na hoñ majbūr aur lāchār ham tum
likheñ ulfat kī dastāvez bāham
adālat meñ kareñ iqrār ham tum
usī ik but ke haiñ donoñ pujārī
chalo ab pahn leñ zunnār ham tum
kahāñ jaate ho aadhī raat aa.ī
chalo ab so raheñ ai yaar ham tum
yahī kah kar liyā thā dam na tum ne
qayāmat tak rakheñge pyaar ham tum
mazā jab hai ki hoñ ulfat kī bāteñ
kareñ phir ishq kā iz.hār ham tum
ye kah kar so ga.e vo ham se 'āfāq'
chaleñge sub.h ko gulzār ham tum
hue hain dost jab ai yar hum tum
karen kyun bahami takrar hum tum
main tum par aur tum dushman pe mail
hue hain sath hi bimar hum tum
hain mahrum-e-visal-e-yar donon
na hon majbur aur lachaar hum tum
likhen ulfat ki dastawez baham
adalat mein karen iqrar hum tum
usi ek but ke hain donon pujari
chalo ab pahn len zunnar hum tum
kahan jate ho aadhi raat aai
chalo ab so rahen ai yar hum tum
yahi kah kar liya tha dam na tum ne
qayamat tak rakhenge pyar hum tum
maza jab hai ki hon ulfat ki baaten
karen phir ishq ka izhaar hum tum
ye kah kar so gae wo hum se 'afaq'
chalenge subh ko gulzar hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.