Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue ho kis liye barham azizam

Tasneem Abidi

hue ho kis liye barham azizam

Tasneem Abidi

hue ho kis liye barham azīzam

sar-e-taslīm hai lo ḳham azīzam

charāġh-e-hujra-e-jāñ ḳhabar lo

laboñ par aa gayā hai dam azīzam

nahīñ bhartā ye zaḳhm-e-hijr apnā

lagāo vasl marham azīzam

tum aate ho to dam aatā hai goyā

tum aate ho magar kam kam azīzam

nabūd-o-būd is kashmakash meñ

ajab hai hālat-e-paiham azīzam

hai maiñ qatra samundar

ye man aanam ki man dānam azīzam

hamī haiñ kushtagān-e-vaqt-e-rafta

azīz-az-jān haiñ ye ġham azīzam

vajūd-e-rafta-e-raftār-e-manzil

sarā-e-hastī-e-ālim azīzam

ḳhumār-e-tishna-kāmī chashm-e-goyam

shunīdan aks-e-jām-e-jam azīzam

hue ho kis liye barham azizam

sar-e-taslim hai lo KHam azizam

charagh-e-hujra-e-jaan ki KHabar lo

labon par aa gaya hai dam azizam

nahin bharta ye zaKHm-e-hijr apna

lagao wasl ka marham azizam

tum aate ho to dam aata hai goya

tum aate ho magar kam kam azizam

nabud-o-bud ki is kashmakash mein

ajab hai haalat-e-paiham azizam

tu hi tu hai main qatra tu samundar

ye man aanam ki man danam azizam

hami hain kushtagan-e-waqt-e-rafta

aziz-az-jaan hain ye gham azizam

wajud-e-rafta-e-raftar-e-manzil

sara-e-hasti-e-alim azizam

KHumar-e-tishna-kaami chashm-e-goyam

shunidan aks-e-jam-e-jam azizam

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now