hue ishq mein imtihan kaise kaise
hue ishq meñ imtihāñ kaise kaise
paḌe marhale darmiyāñ kaise kaise
rahe dil meñ vahm-o-gumāñ kaise kaise
sarā meñ Tike kārvāñ kaise kaise
ghar apnā ġham-o-dard samjhe haiñ dil ko
bane mezbāñ mehmāñ kaise kaise
shab-e-hijr bāteñ haiñ dīvār-o-dar se
mile haiñ mujhe rāz-dāñ kaise kaise
dikhātā hai din-rāt āñkhoñ ko merī
siyāh-o-safed āsmāñ kaise kaise
jo ka.abe se nikle jagah dair meñ kī
mile un butoñ ko makāñ kaise kaise
farishte bhī ghāyal haiñ tīr-e-adā ke
nishāna hue be-nishāñ kaise kaise
jo ḳhanjar rukā chaḌh ga.ī un kī tevrī
vo bigḌe dam-e-imtihāñ kaise kaise
idhar maut udhar vo dam-e-naz.a aa.e
ikaTThā hue mehrbāñ kaise kaise
kabhī bijlī taḌpī kabhī āñdhī aa.ī
baḌhe dushman-e-āshiyāñ kaise kaise
mire jurm mahshar meñ kartī hai ifshā
mire muñh pe merī zabāñ kaise kaise
mohabbat ke hāthoñ hue zulm kyā kyā
ga.e jaan se naujavāñ kaise kaise
nishāñ miT ga.e naam phir bhī haiñ baaqī
javāñ the tah-e-āsmāñ kaise kaise
karūñ yaad kis kis ko kis kis ko ro.uuñ
'hafīz' uTh ga.e mehrbāñ kaise kaise
hue ishq mein imtihan kaise kaise
paDe marhale darmiyan kaise kaise
rahe dil mein wahm-o-guman kaise kaise
sara mein Tike karwan kaise kaise
ghar apna gham-o-dard samjhe hain dil ko
bane mezban mehman kaise kaise
shab-e-hijr baaten hain diwar-o-dar se
mile hain mujhe raaz-dan kaise kaise
dikhata hai din-raat aankhon ko meri
siyah-o-safed aasman kaise kaise
jo kabe se nikle jagah dair mein ki
mile un buton ko makan kaise kaise
farishte bhi ghayal hain tir-e-ada ke
nishana hue be-nishan kaise kaise
jo KHanjar ruka chaDh gai un ki tewri
wo bigDe dam-e-imtihan kaise kaise
idhar maut udhar wo dam-e-naza aae
ikaTTha hue mehrban kaise kaise
kabhi bijli taDpi kabhi aandhi aai
baDhe dushman-e-ashiyan kaise kaise
mere jurm mahshar mein karti hai ifsha
mere munh pe meri zaban kaise kaise
mohabbat ke hathon hue zulm kya kya
gae jaan se naujawan kaise kaise
nishan miT gae nam phir bhi hain baqi
jawan the tah-e-asman kaise kaise
karun yaad kis kis ko kis kis ko roun
'hafiz' uTh gae mehrban kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.