hue jab aaine aape se bahar
hue jab aa.ine aape se bāhar
sitamgar aa gayā chehre se bāhar
mire katre hue par uḌ rahe haiñ
abhī maujūd huuñ piñjre se bāhar
yaqīnan jeb-katre to mileñge
to kyā baiThā rahūñ mele se bāhar
muazzin piir se kamzor niklā
murīd aayā nahīñ hujre se bāhar
munāsib daam jo batlā.e maiñ ne
dukāñ kar dī ga.ī mele se bāhar
vahī tasvīr ho jaatī hai mailī
nikal aatī hai jo shīshe se bāhar
luġhat ko chhoḌ jaate haiñ vo alfāz
jinheñ kartā hai tū qisse se bāhar
tire bīmār bhī ziddī bahut haiñ
nikalte hī nahīñ ḳhatre se bāhar
hue jab aaine aape se bahar
sitamgar aa gaya chehre se bahar
mere katre hue par uD rahe hain
abhi maujud hun pinjre se bahar
yaqinan jeb-katre to milenge
to kya baiTha rahun mele se bahar
muazzin pir se kamzor nikla
murid aaya nahin hujre se bahar
munasib dam jo batlae main ne
dukan kar di gai mele se bahar
wahi taswir ho jati hai maili
nikal aati hai jo shishe se bahar
lughat ko chhoD jate hain wo alfaz
jinhen karta hai tu qisse se bahar
tere bimar bhi ziddi bahut hain
nikalte hi nahin KHatre se bahar
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 100)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.