hue jama afkar sar mein bahut
hue jam.a afkār sar meñ bahut
paḌe pech arz-e-hunar meñ bahut
gurezāñ hai har manzar-e-jism-o-jāñ
koī shai hai andar safar meñ bahut
satāne ko bāhar balā.eñ ka.ī
Darāne ko aaseb ghar meñ bahut
kahūñ kyā ki hai saañs dekhī huī
havā band hai is nagar meñ bahut
umīd-e-samar rakh na 'shāhīñ' abhī
ki zahr-e-ḳhizāñ hai shajar meñ bahut
hue jama afkar sar mein bahut
paDe pech arz-e-hunar mein bahut
gurezan hai har manzar-e-jism-o-jaan
koi shai hai andar safar mein bahut
satane ko bahar balaen kai
Darane ko aaseb ghar mein bahut
kahun kya ki hai sans dekhi hui
hawa band hai is nagar mein bahut
umid-e-samar rakh na 'shahin' abhi
ki zahr-e-KHizan hai shajar mein bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.