hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega
hue jo qatl un kā hai vahī ġham-ḳhvār bolegā
maze kī baat hai qātil kī jai-jai-kār bolegā
tabī.at ho ki niyyat ho haqīqat hogī zāhir hī
tirī ḳhāmoshiyoñ meñ bhī tirā kirdār bolegā
sitam-gar ne jo karnā thā kiyā lekin sitam ye hai
mire dil ko yaqīñ thā ki koī ġham-ḳhvār bolegā
kahānī zindagī kī ek dariyā kī haqīqat hai
kināre kuchh nahīñ kahte magar majdhār bolegā
chhupā.e laakh tū is ko hai aisī raushnī ye to
tirī āñkhoñ se chamkegī tirā inkār bolegā
nahīñ boleñge ham lekin hamārī baat bolegī
jise hai bolne kī lat vahī har baar bolegā
patā sab ko hai lāchārī ġharībī kā muqaddar hai
savere dekhnā kyā kyā magar aḳhbār bolegā
hai gul kā kyā haiñ is ke to Thikāne sau 'salil' sāhab
kabhī gar aañch aa.ī to chaman kā ḳhaar bolegā
hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega
maze ki baat hai qatil ki jai-jai-kar bolega
tabiat ho ki niyyat ho haqiqat hogi zahir hi
teri KHamoshiyon mein bhi tera kirdar bolega
sitam-gar ne jo karna tha kiya lekin sitam ye hai
mere dil ko yaqin tha ki koi gham-KHwar bolega
kahani zindagi ki ek dariya ki haqiqat hai
kinare kuchh nahin kahte magar majdhaar bolega
chhupae lakh tu is ko hai aisi raushni ye to
teri aankhon se chamkegi tera inkar bolega
nahin bolenge hum lekin hamari baat bolegi
jise hai bolne ki lat wahi har bar bolega
pata sab ko hai lachaari gharibi ka muqaddar hai
sawere dekhna kya kya magar aKHbar bolega
hai gul ka kya hain is ke to Thikane sau 'salil' sahab
kabhi gar aanch aai to chaman ka KHar bolega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.